hamara aaina be-kar ho gaya to phir!
hamārā aa.ina be-kār ho gayā to phir!
tumhārā husn trahdār ho gayā to phir!
milā ke ḳhaak meñ vo sochtā rahā barsoñ
maiñ aa.ine meñ numūdār ho gayā to phir!
rukāvaTeñ to safar kā javāz hotī haiñ
ye rāsta kahīñ hamvār ho gayā to phir!
vo māhtāb hai, maiñ jhiil aur safar darpesh
vo mujh se hotā huā paar ho gayā to phir,
tamām shahr ne lauTā diyā hai ḳhālī haath
aur us ke dar se bhī inkār ho gayā to phir!
to kyuuñ na rāsta tabdīl kar liyā jaa.e
kahīñ jo mujh se tumheñ pyaar ho gayā to phir!
hamara aaina be-kar ho gaya to phir!
tumhaara husn trahdar ho gaya to phir!
mila ke KHak mein wo sochta raha barson
main aaine mein numudar ho gaya to phir!
rukawaTen to safar ka jawaz hoti hain
ye rasta kahin hamwar ho gaya to phir!
wo mahtab hai, main jhil aur safar darpesh
wo mujh se hota hua par ho gaya to phir,
tamam shahr ne lauTa diya hai KHali hath
aur us ke dar se bhi inkar ho gaya to phir!
to kyun na rasta tabdil kar liya jae
kahin jo mujh se tumhein pyar ho gaya to phir!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.