hamara aashiyan jab se bana hai
hamārā āshiyāñ jab se banā hai
nazar meñ bijliyoñ kī khal rahā hai
ravayya aap kā badlā hai jab se
hamārī jaan us din se ḳhafā hai
vafā karne se pahle soch lenā
zamāna āj-kal kā bevafā hai
divāna aap kā koī kahe to
batāo is meñ merī kyā ḳhatā hai
mirā 'salmān' chhoTā ghar hai lekin
mirā rutba zamāne ko pata hai
hamara aashiyan jab se bana hai
nazar mein bijliyon ki khal raha hai
rawayya aap ka badla hai jab se
hamari jaan us din se KHafa hai
wafa karne se pahle soch lena
zamana aaj-kal ka bewafa hai
diwana aap ka koi kahe to
batao is mein meri kya KHata hai
mera 'salman' chhoTa ghar hai lekin
mera rutba zamane ko pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.