hamara azm ziyaada ki rahguzar kam hai
hamārā azm ziyāda ki rahguzar kam hai
har ek gaam pe lagtā hai ye safar kam hai
ujālā aur bhī kuchh phailne do āñgan meñ
abhī na sham.a bujhāo ki ye sahar kam hai
jo paḌh sako to bahut hai mirī jabīñ kī shikan
subūt-e-ġham ke liye varna chashm-e-tar kam hai
barābarī ke liye chāhiye kamī-beshī
makān ūñchā banāo zamīñ agar kam hai
ka.ī charāġh munavvar haiñ bazm meñ lekin
unheñ patā ye nahīñ raushnī kidhar kam hai
tumhārī zulf ke saa.e meñ dhuup be-ma.anī
mire liye to qayāmat kī dopahar kam hai
mile na zā.iqa kuchh itnī be-namak bhī nahīñ
hamārī baat meñ lekin zarā shakar kam hai
hamara azm ziyaada ki rahguzar kam hai
har ek gam pe lagta hai ye safar kam hai
ujala aur bhi kuchh phailne do aangan mein
abhi na shama bujhao ki ye sahar kam hai
jo paDh sako to bahut hai meri jabin ki shikan
subut-e-gham ke liye warna chashm-e-tar kam hai
barabari ke liye chahiye kami-beshi
makan uncha banao zamin agar kam hai
kai charagh munawwar hain bazm mein lekin
unhen pata ye nahin raushni kidhar kam hai
tumhaari zulf ke sae mein dhup be-mani
mere liye to qayamat ki dopahar kam hai
mile na zaiqa kuchh itni be-namak bhi nahin
hamari baat mein lekin zara shakar kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.