hamara din kabhi yun bhi shafaq anjam ho jae
hamārā din kabhī yuuñ bhī shafaq anjām ho jaa.e
parinde jhiil par qabza kareñ aur shaam ho jaa.e
kisī kā zikr chheḌūñ isti.āroñ meñ kināyoñ meñ
koī samjhe to shāyad do ghaḌī kohrām ho jaa.e
ta.ajjub hai agar har naqsh mauzū-e-suḳhan Thahre
ta.ajjub hai agar be-chehragī ilzām ho jaa.e
hamāre ba.ad mumkin hai suḳhan takmīl tak pahuñche
hamāre ba.ad mumkin hai mohabbat aam ho jaa.e
rag-e-jāñ khīñchtī hai phir koī mīThī kasak 'tālib'
aur aise meñ agar ik saañs bhī nākām ho jaa.e
hamara din kabhi yun bhi shafaq anjam ho jae
parinde jhil par qabza karen aur sham ho jae
kisi ka zikr chheDun istiaron mein kinayon mein
koi samjhe to shayad do ghaDi kohram ho jae
tajjub hai agar har naqsh mauzu-e-suKHan Thahre
tajjub hai agar be-chehragi ilzam ho jae
hamare baad mumkin hai suKHan takmil tak pahunche
hamare baad mumkin hai mohabbat aam ho jae
rag-e-jaan khinchti hai phir koi miThi kasak 'talib'
aur aise mein agar ek sans bhi nakaam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.