hamara ho ke bhi kab apne bas mein rahta hai
hamārā ho ke bhī kab apne bas meñ rahtā hai
ye dil hamesha tirī dastaras meñ rahtā hai
use sharābī na samjho ki sub.h hote hī
vo mandiroñ ke sunahre kalas meñ rahtā hai
hai e'tibār se be-e'tibār sarhad tak
vo fāsla jo mire ham-nafas meñ rahtā hai
tamannā ye hai ki kuchh lamhe dil ke naam kareñ
magar dimāġh ki hirs-o-havas meñ rahtā hai
ham apne ghar meñ bhī kuchh is tarah se rahte haiñ
ki jaise koī parinda qafas meñ rahtā hai
talāsh kartī hai duniyā jise ba-nām-e-'zamīr'
vo naġhma ban ke sadā-e-jaras meñ rahtā hai
hamara ho ke bhi kab apne bas mein rahta hai
ye dil hamesha teri dastaras mein rahta hai
use sharabi na samjho ki subh hote hi
wo mandiron ke sunahre kalas mein rahta hai
hai e'tibar se be-e'tibar sarhad tak
wo fasla jo mere ham-nafas mein rahta hai
tamanna ye hai ki kuchh lamhe dil ke nam karen
magar dimagh ki hirs-o-hawas mein rahta hai
hum apne ghar mein bhi kuchh is tarah se rahte hain
ki jaise koi parinda qafas mein rahta hai
talash karti hai duniya jise ba-nam-e-'zamir'
wo naghma ban ke sada-e-jaras mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.