Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara ishq jis ke sath meyari raha barson

Riyaz Saghar

hamara ishq jis ke sath meyari raha barson

Riyaz Saghar

MORE BYRiyaz Saghar

    hamārā ishq jis ke saath meyārī rahā barsoñ

    usī ke naam se ham par sitam jaarī rahā barsoñ

    sitam ye hai shikasta-hāl haiñ ham us riyāsat meñ

    hamāre naam sikka jahāñ jaarī rahā barsoñ

    usī ko sauñp ham ne hifāzat apne ḳhemoñ

    vo ādam-ḳhor jo lāshoñ byopārī rahā barsoñ

    shanāsā thā hamāre dard lazzat se vo lekin

    hamāre ġham meñ masrūf-e-adākārī rahā barsoñ

    masā.ib laakh aa jaa.eñ magar jhuknā hai nā-mumkin

    ye vo sar hai ki jis par tāj-e-ḳhuddārī rahā barsoñ

    takalluf hai tasanño hai adākārī bhī hai us meñ

    bechāra kyā kare shāhoñ darbārī rahā barsoñ

    safar kitnā anokhā thā vo rāh-e-ishq 'sāġhar'

    pahuñch kar manzil-e-maqsad pe bhī jaarī rahā barsoñ

    hamara ishq jis ke sath meyari raha barson

    usi ke nam se hum par sitam jari raha barson

    sitam ye hai shikasta-haal hain hum us riyasat mein

    hamare nam ka sikka jahan jari raha barson

    usi ko saunp di hum ne hifazat apne KHemon ki

    wo aadam-KHor jo lashon ka byopari raha barson

    shanasa tha hamare dard ki lazzat se wo lekin

    hamare gham mein masruf-e-adakari raha barson

    masaib lakh aa jaen magar jhukna hai na-mumkin

    ye wo sar hai ki jis par taj-e-KHuddari raha barson

    takalluf hai tasanno hai adakari bhi hai us mein

    bechaara kya kare shahon ka darbari raha barson

    safar kitna anokha tha wo rah-e-ishq ka 'saghar'

    pahunch kar manzil-e-maqsad pe bhi jari raha barson

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now