Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara jazb-e-sadiq shauq-e-kaamil dekhte jao

Muneer Bhopali

hamara jazb-e-sadiq shauq-e-kaamil dekhte jao

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    hamārā jazb-e-sādiq shauq-e-kāmil dekhte jaao

    yahīñ khiñch kar chalī aa.egī manzil dekhte jaao

    vafā-āmoz hai rashk-e-shahādat aaj maqtal meñ

    hazāroñ hoñge bismil gird-e-bismil dekhte jaao

    dam-e-āḳhir hai Thahro karb ḳhud taskīn bantā hai

    huī jaatī hai ab āsān mushkil dekhte jaao

    jin āñkhoñ se abhī tasvīr-e-rāhat tum ne dekhī hai

    unhīñ āñkhoñ se ḳhūn-e-hasrat-e-dil dekhte jaao

    dilam shud ḳhuun ḳhuuñ shud ashk ashk-az-dīda bairūñ shud

    mohabbat samar ulfat hāsil dekhte jaao

    tumheñ dushman samajh kar bhī tumhīñ par jaan detā huuñ

    mirī himmat mirī jur.at mirā dil dekhte jaao

    koī bad-zan na ho aur ḳhātma-bil-ḳhair ho jaa.e

    ba-andāz-e-taġhāful sū-e-bismil dekhte jaao

    na gum kar de kahīñ vāraftagī ai qāfila vaalo

    mujhe har gaam par manzil-ba-manzil dekhte jaao

    unheñ bechain kar deñgī falak ko bhī jalā deñgī

    'munīr' aahoñ apnī zo.am-e-bātil dekhte jaao

    hamara jazb-e-sadiq shauq-e-kaamil dekhte jao

    yahin khinch kar chali aaegi manzil dekhte jao

    wafa-amoz hai rashk-e-shahadat aaj maqtal mein

    hazaron honge bismil gird-e-bismil dekhte jao

    dam-e-aKHir hai Thahro karb KHud taskin banta hai

    hui jati hai ab aasan mushkil dekhte jao

    jin aankhon se abhi taswir-e-rahat tum ne dekhi hai

    unhin aankhon se KHun-e-hasrat-e-dil dekhte jao

    dilam shud KHun KHun shud ashk ashk-az-dida bairun shud

    mohabbat ka samar ulfat ka hasil dekhte jao

    tumhein dushman samajh kar bhi tumhin par jaan deta hun

    meri himmat meri jurat mera dil dekhte jao

    koi bad-zan na ho aur KHatma-bil-KHair ho jae

    ba-andaz-e-taghaful su-e-bismil dekhte jao

    na gum kar de kahin waraftagi ai qafila walo

    mujhe har gam par manzil-ba-manzil dekhte jao

    unhen bechain kar dengi falak ko bhi jala dengi

    'munir' aahon ka apni zoam-e-baatil dekhte jao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now