hamara jazb-e-sadiq shauq-e-kaamil dekhte jao
hamārā jazb-e-sādiq shauq-e-kāmil dekhte jaao
yahīñ khiñch kar chalī aa.egī manzil dekhte jaao
vafā-āmoz hai rashk-e-shahādat aaj maqtal meñ
hazāroñ hoñge bismil gird-e-bismil dekhte jaao
dam-e-āḳhir hai Thahro karb ḳhud taskīn bantā hai
huī jaatī hai ab āsān mushkil dekhte jaao
jin āñkhoñ se abhī tasvīr-e-rāhat tum ne dekhī hai
unhīñ āñkhoñ se ḳhūn-e-hasrat-e-dil dekhte jaao
dilam shud ḳhuun ḳhuuñ shud ashk ashk az-dīda bairūñ shud
mohabbat kā samar ulfat kā hāsil dekhte jaao
tumheñ dushman samajh kar bhī tumhīñ par jaan detā huuñ
mirī himmat mirī jur.at mirā dil dekhte jaao
koī bad-zan na ho aur ḳhātma bil-ḳhair ho jaa.e
ba-andāz-e-taġhāful sū-e-bismil dekhte jaao
na gum kar de kahīñ vāraftagī ai qāfile vaalo
mujhe har gaam par manzil-ba-manzil dekhte jaao
unheñ bechain kar deñgī falak ko bhī jalā deñgī
'munīr' aahoñ kā apnī zo.am-e-bātil dekhte jaao
hamara jazb-e-sadiq shauq-e-kaamil dekhte jao
yahin khinch kar chali aaegi manzil dekhte jao
wafa-amoz hai rashk-e-shahadat aaj maqtal mein
hazaron honge bismil gird-e-bismil dekhte jao
dam-e-aKHir hai Thahro karb KHud taskin banta hai
hui jati hai ab aasan mushkil dekhte jao
jin aankhon se abhi taswir-e-rahat tum ne dekhi hai
unhin aankhon se KHun-e-hasrat-e-dil dekhte jao
dilam shud KHun KHun shud ashk ashk az-dida bairun shud
mohabbat ka samar ulfat ka hasil dekhte jao
tumhein dushman samajh kar bhi tumhin par jaan deta hun
meri himmat meri jurat mera dil dekhte jao
koi bad-zan na ho aur KHatma bil-KHair ho jae
ba-andaz-e-taghaful su-e-bismil dekhte jao
na gum kar de kahin waraftagi ai qafile walo
mujhe har gam par manzil-ba-manzil dekhte jao
unhen bechain kar dengi falak ko bhi jala dengi
'munir' aahon ka apni zoam-e-baatil dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.