hamara KHun hai ye surKH aab thoDi hai
hamārā ḳhuun hai ye surḳh aab thoḌī hai
ye ek zinda haqīqat hai ḳhvāb thoḌī hai
chamak rahā hai hamārī mohabbatoñ ke sabab
vagarna chehra tirā māhtāb thoḌī hai
sitam jo ham pe kare ham kaheñ use apnā
koī dimāġh hamārā ḳharāb thoḌī hai
gañvā deñ kyoñ bhalā sāñsoñ ko ham bilā maqsad
hamārī ziist hai koī itaab thoḌī hai
ḳhizāñ kī garm havā.eñ hī chhīn leñ 'āmir'
hamārā haq hai guloñ kā shabāb thoḌī hai
hamara KHun hai ye surKH aab thoDi hai
ye ek zinda haqiqat hai KHwab thoDi hai
chamak raha hai hamari mohabbaton ke sabab
wagarna chehra tera mahtab thoDi hai
sitam jo hum pe kare hum kahen use apna
koi dimagh hamara KHarab thoDi hai
ganwa den kyon bhala sanson ko hum bila maqsad
hamari zist hai koi itab thoDi hai
KHizan ki garm hawaen hi chhin len 'amir'
hamara haq hai gulon ka shabab thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.