hamara man yahin lagta bhale ye ghar purana hai
hamārā man yahīñ lagtā bhale ye ghar purānā hai
isī par niiñd aatī hai ye jo bistar purānā hai
tumhārā ishq hai pahlā nayā tum ko lagegā hī
magar mere liye to yaar sab manzar purānā hai
tarīqe se lagā rakkhā hai khiḌkī meñ jo sāloñ se
bahut ThanDī havā detā merā cōlar purānā hai
ye daulat aur shohrat kuchh badal paa.ī nahīñ merā
vahī bāteñ vahī lahja vahī tevar purānā hai
ki ab kī baar jān-e-man bahut kāñTe kī Takkar hai
nayā laḌkā udhar hai to idhar shā.ir purānā hai
hamara man yahin lagta bhale ye ghar purana hai
isi par nind aati hai ye jo bistar purana hai
tumhaara ishq hai pahla naya tum ko lagega hi
magar mere liye to yar sab manzar purana hai
tariqe se laga rakkha hai khiDki mein jo salon se
bahut ThanDi hawa deta mera coolar purana hai
ye daulat aur shohrat kuchh badal pai nahin mera
wahi baaten wahi lahja wahi tewar purana hai
ki ab ki bar jaan-e-man bahut kanTe ki Takkar hai
naya laDka udhar hai to idhar shair purana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.