hamara phir kabhi pichha karoge
hamārā phir kabhī pīchhā karoge
hameñ chhup-chhup ke phir dekhā karoge
agar kuchh din nazar aa.e na tum ko
hamārā tum kabhī pūchhā karoge
hameñ tum DhūñDhne ghar se akele
hamārī khoj meñ niklā karoge
bichhaḌ jaa.eñ agar ham tum achānak
hamāre baa'd kyā tanhā karoge
agar ye soch bhī ho jaa.e puurī
to is ke baa'd kyā sochā karoge
hamara phir kabhi pichha karoge
hamein chhup-chhup ke phir dekha karoge
agar kuchh din nazar aae na tum ko
hamara tum kabhi puchha karoge
hamein tum DhunDhne ghar se akele
hamari khoj mein nikla karoge
bichhaD jaen agar hum tum achanak
hamare ba'd kya tanha karoge
agar ye soch bhi ho jae puri
to is ke ba'd kya socha karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.