hamara qad hi bharmae hamein
hamārā qad hī bharmā.e hameñ
bahut lambe lage saa.e hameñ
samundar kī ḳhāmoshī dekh kar
ka.ī tūfān yaad aa.e hameñ
ham us kī pyaas kā hissa nahīñ
yahī ik baat tarsā.e hameñ
ka.ī pahlū hai terī zaat ke
jo tujh se duur le jaa.eñ hameñ
rihā.ī kā ajab ehsās hai
vo ab ke yaad kam aa.e hameñ
hamara qad hi bharmae hamein
bahut lambe lage sae hamein
samundar ki KHamoshi dekh kar
kai tufan yaad aae hamein
hum us ki pyas ka hissa nahin
yahi ek baat tarsae hamein
kai pahlu hai teri zat ke
jo tujh se dur le jaen hamein
rihai ka ajab ehsas hai
wo ab ke yaad kam aae hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.