hamara raaz-dan koi nahin hai
hamārā rāz-dāñ koī nahīñ hai
mohabbat kī zabāñ koī nahīñ hai
har ik ġhuncha hai murjhāyā huā sā
chaman meñ bāġhbāñ koī nahīñ hai
qafas se chhūT kar jaa.eñ kahāñ ham
hamārā āshiyāñ koī nahīñ hai
kahāñ jaa.eñ ye darmāñda musāfir
amīr-e-kārvāñ koī nahīñ hai
añdhere rāste roke khaḌe haiñ
charāg-e-kārvāñ koī nahīñ hai
haiñ pazhmurda tirī yādoñ kī kaliyāñ
bahār-e-jāvedāñ koī nahīñ hai
'ibārat hai hayāt-o-marg tum se
hamārī dāstāñ koī nahīñ hai
yahāñ har jins bik jaatī hai 'mumtāz'
suḳhan kā qadr-dāñ koī nahīñ hai
hamara raaz-dan koi nahin hai
mohabbat ki zaban koi nahin hai
har ek ghuncha hai murjhaya hua sa
chaman mein baghban koi nahin hai
qafas se chhuT kar jaen kahan hum
hamara aashiyan koi nahin hai
kahan jaen ye darmanda musafir
amir-e-karwan koi nahin hai
andhere raste roke khaDe hain
charag-e-karwan koi nahin hai
hain pazhmurda teri yaadon ki kaliyan
bahaar-e-jawedan koi nahin hai
'ibarat hai hayat-o-marg tum se
hamari dastan koi nahin hai
yahan har jins bik jati hai 'mumtaz'
suKHan ka qadr-dan koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.