hamara tair-e-dil kab hamare bas mein hai
hamārā tā.ir-e-dil kab hamāre bas meñ hai
rihā.ī meñ use taklīf ḳhush qafas meñ hai
baḌhūñ agar to kisī tak mirī rasā.ī na ho
rukūñ to yuuñ lage vo merī dastaras meñ hai
kise kise ye batā.ūñ tire ta.alluq se
kuchh imtiyāz mohabbat meñ aur havas meñ hai
kashāñ kashāñ hai ravāna mirā musāfir-e-dil
tirī latīf sadā naġhma-e-jaras meñ hai
tamām umr rahā hai gumān lamha-e-vasl
bas is baras meñ hai shāyad ye us baras meñ hai
mujhe to dil ke qadam tere paas le aa.e
vagarna zehn ba-dastūr pesh-o-pas meñ hai
hai ik hasīn kā atiya ye kaifiyat 'shaukat'
jo ang-ang meñ hai jo nafas-nafas meñ hai
hamara tair-e-dil kab hamare bas mein hai
rihai mein use taklif KHush qafas mein hai
baDhun agar to kisi tak meri rasai na ho
rukun to yun lage wo meri dastaras mein hai
kise kise ye bataun tere talluq se
kuchh imtiyaz mohabbat mein aur hawas mein hai
kashan kashan hai rawana mera musafir-e-dil
teri latif sada naghma-e-jaras mein hai
tamam umr raha hai guman lamha-e-wasl
bas is baras mein hai shayad ye us baras mein hai
mujhe to dil ke qadam tere pas le aae
wagarna zehn ba-dastur pesh-o-pas mein hai
hai ek hasin ka atiya ye kaifiyat 'shaukat'
jo ang-ang mein hai jo nafas-nafas mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.