hamara un ka talluq jo rasm-o-rah ka tha
hamārā un kā ta.alluq jo rasm-o-rāh kā thā
bas us meñ saarā salīqa mire nibāh kā thā
tujhe qarīb se dekhā to dil ne sochā hai
ki terā husn bhī ik zāviya nigāh kā thā
tujhe tarāsh ke dil meñ sajā liyā maiñ ne
qusūr is meñ mirī rif.at-e-nigāh kā thā
chale the yuuñ to ka.ī log kū-e-jānāñ ko
zarā sā ham se magar iḳhtilāf raah kā thā
tirī jafā kā ḳhudā silsila darāz kare
ki us se apnā ta.alluq bhī gaah gaah kā thā
hamara un ka talluq jo rasm-o-rah ka tha
bas us mein sara saliqa mere nibah ka tha
tujhe qarib se dekha to dil ne socha hai
ki tera husn bhi ek zawiya nigah ka tha
tujhe tarash ke dil mein saja liya main ne
qusur is mein meri rifat-e-nigah ka tha
chale the yun to kai log ku-e-jaanan ko
zara sa hum se magar iKHtilaf rah ka tha
teri jafa ka KHuda silsila daraaz kare
ki us se apna talluq bhi gah gah ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.