hamara zauq dildari nahin tha
hamārā zauq dildārī nahīñ thā
tirā chehra bhī aḳhbārī nahīñ thā
na dauḌāyā na rishvat hī talab kī
mohabbat kaam sarkārī nahīñ thā
hamārī ūñTnī shab-bhar na baiThī
nagar meñ koī ansārī nahīñ thā
hamāre ham-nashīñ kis kaam ke the
jo ham meñ 'azm-e-sardārī nahīñ thā
vafā phir aur vo ik bevafā se
ye koī kār-e-hushyārī nahīñ thā
ġhalat-fahmī huī kuchh 'nazr' tum ko
mirā maqsad dil-āzārī nahīñ thā
hamara zauq dildari nahin tha
tera chehra bhi aKHbari nahin tha
na dauDaya na rishwat hi talab ki
mohabbat kaam sarkari nahin tha
hamari unTni shab-bhar na baiThi
nagar mein koi ansari nahin tha
hamare ham-nashin kis kaam ke the
jo hum mein 'azm-e-sardari nahin tha
wafa phir aur wo ek bewafa se
ye koi kar-e-hushyari nahin tha
ghalat-fahmi hui kuchh 'nazr' tum ko
mera maqsad dil-azari nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.