hamara zikr aur unki zaban se
hamārā zikr aur un kī zabāñ se
kahāñ nisbat zamīñ ko āsmāñ se
kahūñ kyūñkar nazar se tū nihāñ hai
patā apnā milā tere nishāñ se
huā yuuñ bhī ki us kī samt aksar
chale aur lauT aa.e darmiyāñ se
jaleñ jab fasl-e-gul meñ bhī nasheman
to phir kyā kījiye shikva ḳhizāñ se
fareb-e-zindagī khā.eñ kahāñ tak
churā.eñ aañkh marg-e-nā-gahāñ se
havādis pesh aate haiñ zamīñ ko
sitāre TūTte haiñ āsmāñ se
bashar ke mas.ale hal karne shāyad
farishte ā.eñge ab āsmāñ se
janāb-e-ḳhizr se pūchheñ kisī din
milā kyā un kī umr-e-jāvedāñ se
dabī hai aag jo siine meñ 'at.har'
nahīñ kuchh kam kisī ātish-fishāñ se
hamara zikr aur un ki zaban se
kahan nisbat zamin ko aasman se
kahun kyunkar nazar se tu nihan hai
pata apna mila tere nishan se
hua yun bhi ki us ki samt aksar
chale aur lauT aae darmiyan se
jalen jab fasl-e-gul mein bhi nasheman
to phir kya kijiye shikwa KHizan se
fareb-e-zindagi khaen kahan tak
churaen aankh marg-e-na-gahan se
hawadis pesh aate hain zamin ko
sitare TuTte hain aasman se
bashar ke masale hal karne shayad
farishte aaenge ab aasman se
janab-e-KHizr se puchhen kisi din
mila kya un ki umr-e-jawedan se
dabi hai aag jo sine mein 'athar'
nahin kuchh kam kisi aatish-fishan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.