hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao
hamārā zikr dushman kī zabānī dekhte jaao
fasāna ban ga.ī saarī kahānī dekhte jaao
zarā ik chheḌ do zāhid se qisse hūr-o-ġhilmāñ ke
phir us kam-baḳht kī rañgīñ-bayānī dekhte jaao
Tapak le ḳhuun armānoñ kā āñkhoñ se zarā Thahro
mirī luTtī huī rañgīñ javānī dekhte jaao
kamāl-soz ġham-hā-e-nihānī DhūñDne vaalo
ma.āl-e-soz ġham-hā-e-nihānī dekhte jaao
bahut charche the yāroñ meñ mirī jādū-bayānī ke
huzūr-e-dost merī be-zabānī dekhte jaao
hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao
fasana ban gai sari kahani dekhte jao
zara ek chheD do zahid se qisse hur-o-ghilman ke
phir us kam-baKHt ki rangin-bayani dekhte jao
Tapak le KHun armanon ka aankhon se zara Thahro
meri luTti hui rangin jawani dekhte jao
kamal-soz gham-ha-e-nihani DhunDne walo
maal-e-soz gham-ha-e-nihani dekhte jao
bahut charche the yaron mein meri jadu-bayani ke
huzur-e-dost meri be-zabani dekhte jao
- Book : Kufr-o-iman (Pg. 74)
- Author : Hari chand Akhtar
- Publication : Satpaal, kucha Khakan Urdu Bazar- Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.