hamare apne hamein sharmsar karne lage
hamāre apne hameñ sharmsār karne lage
hameñ ḳhabar bhī nahīñ ham se pyaar karne lage
vafā hai aap kī jhūTī ye maanā ham ne magar
baġhair soche hī ham e'tibār karne lage
bechāra dil bhī thā majbūr aur kyā kartā
tire ḳhayāl use be-qarār karne lage
zarā sī guftugū ham ne bhī un se kyā kar lī
vo rishta ek nayā iḳhtiyār karne lage
huā hai aane kī un kī ḳhabar kā yuuñ jaadū
ki ham bhī un kā bahut intizār karne lage
hamare apne hamein sharmsar karne lage
hamein KHabar bhi nahin hum se pyar karne lage
wafa hai aap ki jhuTi ye mana hum ne magar
baghair soche hi hum e'tibar karne lage
bechaara dil bhi tha majbur aur kya karta
tere KHayal use be-qarar karne lage
zara si guftugu hum ne bhi un se kya kar li
wo rishta ek naya iKHtiyar karne lage
hua hai aane ki un ki KHabar ka yun jadu
ki hum bhi un ka bahut intizar karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.