hamare azm ke bais tumhaara ishq kaamil hai
hamāre azm ke baa.is tumhārā ishq kāmil hai
vagarna dil to siine meñ faqat patthar kī ik sil hai
ajab sī baat kah dī hai tumheñ shāyad girāñ guzre
tirī dhaḌkan se sargoshī mirī sāñsoñ kī manzil hai
sabab gulshan meñ na jaane kā maiñ ab munkashif kar duuñ
mire sheroñ meñ terī guftugū kī ḳhushbū shāmil hai
maiñ apnī band āñkhoñ se bhī tum ko dekh saktī huuñ
mujhe bhūlā nahīñ ab tak tire siine pe jo til hai
zarā kholo to bañd muTThī havā thoḌī sī aane do
tirī muTThī meñ 'nig.hat' kā jo ye Thahrā huā dil hai
hamare azm ke bais tumhaara ishq kaamil hai
wagarna dil to sine mein faqat patthar ki ek sil hai
ajab si baat kah di hai tumhein shayad giran guzre
teri dhaDkan se sargoshi meri sanson ki manzil hai
sabab gulshan mein na jaane ka main ab munkashif kar dun
mere sheron mein teri guftugu ki KHushbu shamil hai
main apni band aankhon se bhi tum ko dekh sakti hun
mujhe bhula nahin ab tak tere sine pe jo til hai
zara kholo to band muTThi hawa thoDi si aane do
teri muTThi mein 'nighat' ka jo ye Thahra hua dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.