hamare bachne ki logo sabil koi nahin
hamāre bachne kī logo sabīl koī nahīñ
tamām shahr hai munsif vakīl koī nahīñ
nahīñ hai yaad masāfat kā kuchh hisāb mujhe
rah-e-talab meñ mirī sañg-e-mīl koī nahīñ
use yaqīn ki vo kā.enāt meñ tanhā
mujhe ye zo.am ki merī masīl koī nahīñ
nahīñ hai koī zamānat mire tahaffuz kī
huuñ aisā qil.a ki jis kī fasīl koī nahīñ
ye aur kaun hathelī pe jaañ liye niklā
ḳhabar to ye thī mirā ham-qabīl koī nahīñ
banī ho shakl har ik jaise mun.akis ho kar
mile haiñ aks nazar ko asiil koī nahīñ
ḳhizāñ meñ kaise ho sairāb fasl-e-dil merī
zamīn-e-misr huuñ aur merā niil koī nahīñ
be-āb-o-rañg manāzir kī is masāfat meñ
nazar kī pyaas bujhāne ko jhiil koī nahīñ
yahī junūñ mire jazbāt kī gavāhī hai
ki mere paas ḳhirad kī dalīl koī nahīñ
hamare bachne ki logo sabil koi nahin
tamam shahr hai munsif wakil koi nahin
nahin hai yaad masafat ka kuchh hisab mujhe
rah-e-talab mein meri sang-e-mil koi nahin
use yaqin ki wo kaenat mein tanha
mujhe ye zoam ki meri masil koi nahin
nahin hai koi zamanat mere tahaffuz ki
hun aisa qila ki jis ki fasil koi nahin
ye aur kaun hatheli pe jaan liye nikla
KHabar to ye thi mera ham-qabil koi nahin
bani ho shakl har ek jaise munakis ho kar
mile hain aks nazar ko asil koi nahin
KHizan mein kaise ho sairab fasl-e-dil meri
zamin-e-misr hun aur mera nil koi nahin
be-ab-o-rang manazir ki is masafat mein
nazar ki pyas bujhane ko jhil koi nahin
yahi junun mere jazbaat ki gawahi hai
ki mere pas KHirad ki dalil koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.