hamare beach ghazab ka mukalima hua tha
hamāre beach ġhazab kā mukālima huā thā
phir us ke baad ye sochā gayā ki kyā huā thā
na sirf talḳh bahut thā vo nīlgūñ bhī thā
mujhe to shak hai samundar meñ kuchh milā huā thā
vo ḳhat jo paḌhne se pahle hī maiñ ne phaaḌ diyā
agarche naam thā mere magar khulā huā thā
mujhe kahānī meñ kirdār kuchh milā aisā
the jis ke haath to āzād muñh bañdhā huā thā
akelī rah ga.ī donoñ hī mar ga.e jin meñ
mire husūl kī ḳhātir muqābla huā thā
zarā qarīb jo aayā use Dubo deñge
samundaroñ kā kisī se muāhida huā thā
chalo vo duur rahegā to bhuul jā.egā
zarā sī der mujhe ye muġhālta huā thā
jab apnī quvvat-e-goyā.ī kho chukī hai 'nishāt'
to koī aur batā de ki us ko kyā huā thā
hamare beach ghazab ka mukalima hua tha
phir us ke baad ye socha gaya ki kya hua tha
na sirf talKH bahut tha wo nilgun bhi tha
mujhe to shak hai samundar mein kuchh mila hua tha
wo KHat jo paDhne se pahle hi main ne phaD diya
agarche nam tha mere magar khula hua tha
mujhe kahani mein kirdar kuchh mila aisa
the jis ke hath to aazad munh bandha hua tha
akeli rah gai donon hi mar gae jin mein
mere husul ki KHatir muqabla hua tha
zara qarib jo aaya use Dubo denge
samundaron ka kisi se muahida hua tha
chalo wo dur rahega to bhul jaega
zara si der mujhe ye mughaalta hua tha
jab apni quwwat-e-goyai kho chuki hai 'nishat'
to koi aur bata de ki us ko kya hua tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 35)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.