hamare darmiyan dariya raha hai
hamāre darmiyāñ dariyā rahā hai
kahīñ uthlā kahīñ gahrā rahā hai
ḳhayāloñ hī meñ chhū letā huuñ us ko
gumāñ ehsās bantā jā rahā hai
bichhā.e rāste meñ jis ne kāñTe
vo mere paañv ab sahlā rahā hai
hamārā sābiqa thā makḌiyoñ se
hamāre gird bhī jaalā rahā hai
ye ḳhāmoshī baḌī gahrī hai 'āsim'
koī tūfān shāyad aa rahā hai
hamare darmiyan dariya raha hai
kahin uthla kahin gahra raha hai
KHayalon hi mein chhu leta hun us ko
guman ehsas banta ja raha hai
bichhae raste mein jis ne kanTe
wo mere panw ab sahla raha hai
hamara sabiqa tha makDiyon se
hamare gird bhi jala raha hai
ye KHamoshi baDi gahri hai 'asim'
koi tufan shayad aa raha hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 85)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.