hamare darmiyan jo fasla hai
hamāre darmiyāñ jo fāsla hai
mahz kuchh rañg-o-bū kā mas.ala hai
baḌī tanhā.iyāñ haiñ zehn meñ ab
hamāre saath meñ ik qāfila hai
maiñ har manzar meñ shāmil ho rahī huuñ
mirā ḳhud se na koī silsila hai
maiñ āñkheñ band apnī kar rahī huuñ
mohabbat jaane kaisā mashġhala hai
suno ye shaam ab Dhalne lagī hai
batā do jo tumhārā faisla hai
hamare darmiyan jo fasla hai
mahz kuchh rang-o-bu ka masala hai
baDi tanhaiyan hain zehn mein ab
hamare sath mein ek qafila hai
main har manzar mein shamil ho rahi hun
mera KHud se na koi silsila hai
main aankhen band apni kar rahi hun
mohabbat jaane kaisa mashghala hai
suno ye sham ab Dhalne lagi hai
bata do jo tumhaara faisla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.