hamare darmiyan jo fasle hain
hamāre darmiyāñ jo fāsle haiñ
ye bas kuchh hī dinoñ ke silsile haiñ
hameñ sadiyāñ huiiñ ḳhud se mile bhī
tumheñ ham se na milne ke gile haiñ
shikāyat bad-gumānī phir judā.ī
mohabbat hī ke ye sab marhale haiñ
tumhārī aarzū kā dasht hai aur
piyāse ham zamānoñ se khaḌe haiñ
tumhārī ruuh meñ sāñseñ hamārī
tumhāre saath ham aise juḌe haiñ
taġhāful kī ḳhizāñ chhā.ī hai ham par
qasam le lo ki ham phir bhī bure haiñ
tumhī ko TuuT kar chāheñ hamesha
mirī jaañ āsmānī faisle haiñ
bichhaḌ kar tum se phir milnā dobāra
mohabbat ke hī ye sab marhale haiñ
hamare darmiyan jo fasle hain
ye bas kuchh hi dinon ke silsile hain
hamein sadiyan huin KHud se mile bhi
tumhein hum se na milne ke gile hain
shikayat bad-gumani phir judai
mohabbat hi ke ye sab marhale hain
tumhaari aarzu ka dasht hai aur
piyase hum zamanon se khaDe hain
tumhaari ruh mein sansen hamari
tumhaare sath hum aise juDe hain
taghaful ki KHizan chhai hai hum par
qasam le lo ki hum phir bhi bure hain
tumhi ko TuT kar chahen hamesha
meri jaan aasmani faisle hain
bichhaD kar tum se phir milna dobara
mohabbat ke hi ye sab marhale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.