hamare dasht se pahle yahi Thikane the
hamāre dasht se pahle yahī Thikāne the
sharāb-ḳhāne the yā phir kitāb-ḳhāne the
vo hijr-zāde shab-e-vasl ye bhī bhuul ga.e
charāġh un ko jalāne nahīñ bujhāne the
kisī bhī darja ri.āyat nahīñ hai vahshat meñ
bichhaḌ ke us se tumheñ qahqahe lagāne the
ajiib baat hai un ke bhī naam bhuul ga.e
tumhāre shahr meñ do chaar hī divāne the
ham is liye bhī kabhī jā na paa.e sahrā se
na.e divānoñ ke bhī hausle baḌhāne the
hamare dasht se pahle yahi Thikane the
sharab-KHane the ya phir kitab-KHane the
wo hijr-zade shab-e-wasl ye bhi bhul gae
charagh un ko jalane nahin bujhane the
kisi bhi darja riayat nahin hai wahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagane the
ajib baat hai un ke bhi nam bhul gae
tumhaare shahr mein do chaar hi diwane the
hum is liye bhi kabhi ja na pae sahra se
nae diwanon ke bhi hausle baDhane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.