hamare daur ke sanche mein Dhal sako to chalo
hamāre daur ke sāñche meñ Dhal sako to chalo
tum apne ḳhol se bāhar nikal sako to chalo
ufuq ke paar ujāle bulā rahe haiñ tumheñ
tum apnī raat kī qismat badal sako to chalo
na jaane kitne bagūle hamārī raah meñ haiñ
mizāj tez havā kā badal sako to chalo
hayāt naam hai lamhoñ kī bāzyābī kā
uḌaan bhar ke jo aage nikal sako to chalo
hamare daur ke sanche mein Dhal sako to chalo
tum apne KHol se bahar nikal sako to chalo
ufuq ke par ujale bula rahe hain tumhein
tum apni raat ki qismat badal sako to chalo
na jaane kitne bagule hamari rah mein hain
mizaj tez hawa ka badal sako to chalo
hayat nam hai lamhon ki bazyabi ka
uDan bhar ke jo aage nikal sako to chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.