hamare dil ki baja di hai usne inT se inT
hamāre dil kī bajā dī hai us ne iiñT se iiñT
hamāre aage kabhī us kā naam mat lenā
usī nigāh se piine meñ lutf hai saarā
alāva us ke koī aur jaam mat lenā
isī sabab se hai duniyā meñ āsmāñ badnām
tum apne haath meñ ye intizām mat lenā
dil o nazar kī baqā hai faqat mohabbat meñ
dil o nazar se koī aur kaam mat lenā
yahāñ pe achchhā hai jitnā bhī muḳhtasar ho qayām
zalīl hoge hayāt-e-davām mat lenā
ye saare log tumhārā mazāq uḌāte haiñ
jahāñ meñ aur mohabbat kā naam mat lenā
rahoge chāñd kī sargoshiyoñ se bhī mahrūm
kisī se dhuup kā jaltā kalām mat lenā
agarche tum pe huā hai yahāñ pe zulm bahut
kisī se us kā magar intiqām mat lenā
hamare dil ki baja di hai us ne inT se inT
hamare aage kabhi us ka nam mat lena
usi nigah se pine mein lutf hai sara
alawa us ke koi aur jam mat lena
isi sabab se hai duniya mein aasman badnam
tum apne hath mein ye intizam mat lena
dil o nazar ki baqa hai faqat mohabbat mein
dil o nazar se koi aur kaam mat lena
yahan pe achchha hai jitna bhi muKHtasar ho qayam
zalil hoge hayat-e-dawam mat lena
ye sare log tumhaara mazaq uDate hain
jahan mein aur mohabbat ka nam mat lena
rahoge chand ki sargoshiyon se bhi mahrum
kisi se dhup ka jalta kalam mat lena
agarche tum pe hua hai yahan pe zulm bahut
kisi se us ka magar intiqam mat lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.