hamare dil ko na chheDo ki ye wo sahra hai
hamāre dil ko na chheḌo ki ye vo sahrā hai
bahār hai na jahāñ koī phuul khiltā hai
vo shaḳhs jis kā idhar se kabhī guzar na huā
galī ke moḌ pe kyoñ jaane aaj baiThā hai
ḳhamosh jhiil kā paanī sahī magar us meñ
jo pheñkiye koī patthar to chīḳh uThtā hai
hamārī sub.h janam sūrajoñ ko detī hai
hamārī raat ke dāman se chāñd ugtā hai
jo dekhiye to hai ik bhiiḌ apne saath liye
jo sochiye to har ik shaḳhs 'barq' tanhā hai
hamare dil ko na chheDo ki ye wo sahra hai
bahaar hai na jahan koi phul khilta hai
wo shaKHs jis ka idhar se kabhi guzar na hua
gali ke moD pe kyon jaane aaj baiTha hai
KHamosh jhil ka pani sahi magar us mein
jo phenkiye koi patthar to chiKH uThta hai
hamari subh janam surajon ko deti hai
hamari raat ke daman se chand ugta hai
jo dekhiye to hai ek bhiD apne sath liye
jo sochiye to har ek shaKHs 'barq' tanha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.