hamare dil mein koi aarzu nahin baqi
hamāre dil meñ koī aarzū nahīñ baaqī
hamāre phuul meñ ab rañg-o-bū nahīñ baaqī
bahut kahī dil-e-nādāñ adū nahīñ baaqī
mirā adū mire pahlū meñ tū nahīñ baaqī
tumhāre tiir kī ab aarzū nahīñ baaqī
huā hai piip kaleja lahū nahīñ baaqī
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharāb
koī bhī zarf barā-e-vuzū nahīñ baaqī
dharā hai kyā mire ghar meñ ki mohtasib legā
pur-az-sharāb vo jām-o-subū nahīñ baaqī
vo rah ke ġhair kī sohbat meñ ho ga.e kuchh aur
vo baat pichhlī sī aglī sī ḳhū nahīñ baaqī
thakā paḌā huuñ to vāmāñdgī ye kahtī hai
unheñ kisī kī bhī ab justujū nahīñ baaqī
jo mai kī buuñd na niklī to paḌ gayā paanī
ba-hāl-e-ḳhvesh subū ab subū nahīñ baaqī
hamārī aap kī baat uTh rahī hai mahshar par
hamārī aap kī kuchh guftugū nahīñ baaqī
jo nikle ḳhaar to dāman se sūiyāñ uljhīñ
jagah zarā sī kahīñ be-rafū nahīñ baaqī
baḌhī hai baat qayāmat meñ jhūTe va.ade par
vo munfa.il hai to kuchh guftugū nahīñ baaqī
ye mohtasib hai abas ghar ko sūñghtā phirtā
ki būñd-bar bhī mai-e-mushk-bū nahīñ baaqī
huā hai aa.ine ke saath aks ko saktā
kisī meñ jaan tire rū-ba-rū nahīñ baaqī
baheñ sharāb ke dariyā to ham ko lutf nahīñ
ki sabza kuchh bhī lab-e-ābjū nahīñ baaqī
baḌhī hai pāk-nihādī ye bāda-noshoñ kī
ki ab namāz meñ qaid-e-vuzū nahīñ baaqī
hamārī aañkh meñ tārīk bazm-e-ālam hai
jo zeb-e-bazm the vo sham.a-rū nahīñ baaqī
'riyāz' maut ko kyuuñ maut aa.ī jaatī hai
hameñ to maut kī bhī aarzū nahīñ baaqī
hamare dil mein koi aarzu nahin baqi
hamare phul mein ab rang-o-bu nahin baqi
bahut kahi dil-e-nadan adu nahin baqi
mera adu mere pahlu mein tu nahin baqi
tumhaare tir ki ab aarzu nahin baqi
hua hai pip kaleja lahu nahin baqi
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf bara-e-wuzu nahin baqi
dhara hai kya mere ghar mein ki mohtasib lega
pur-az-sharab wo jam-o-subu nahin baqi
wo rah ke ghair ki sohbat mein ho gae kuchh aur
wo baat pichhli si agli si KHu nahin baqi
thaka paDa hun to wamandgi ye kahti hai
unhen kisi ki bhi ab justuju nahin baqi
jo mai ki bund na nikli to paD gaya pani
ba-haal-e-KHwesh subu ab subu nahin baqi
hamari aap ki baat uTh rahi hai mahshar par
hamari aap ki kuchh guftugu nahin baqi
jo nikle KHar to daman se suiyan uljhin
jagah zara si kahin be-rafu nahin baqi
baDhi hai baat qayamat mein jhuTe wade par
wo munfail hai to kuchh guftugu nahin baqi
ye mohtasib hai abas ghar ko sunghta phirta
ki bund-bar bhi mai-e-mushk-bu nahin baqi
hua hai aaine ke sath aks ko sakta
kisi mein jaan tere ru-ba-ru nahin baqi
bahen sharab ke dariya to hum ko lutf nahin
ki sabza kuchh bhi lab-e-abju nahin baqi
baDhi hai pak-nihadi ye baada-noshon ki
ki ab namaz mein qaid-e-wuzu nahin baqi
hamari aankh mein tarik bazm-e-alam hai
jo zeb-e-bazm the wo shama-ru nahin baqi
'riyaz' maut ko kyun maut aai jati hai
hamein to maut ki bhi aarzu nahin baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.