hamare dil mein tumhaari chahat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
hamare dil mein tumhaari chahat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
Shashank Singh Thakur Saahil
MORE BYShashank Singh Thakur Saahil
hamāre dil meñ tumhārī chāhat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
hameñ bhī tum se bahut mohabbat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
ham apne ashkoñ ko rok leñge magar na shikva koī kareñge
tumhāre shāne kī vo zarūrat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
vo rū-e-raushan vo mast āñkheñ thī jin pe qurbāñ sabhī bahāreñ
tumhāre chehre kī aisī rañgat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
ham itne nādān bhī nahīñ haiñ ke bārishoñ meñ patang uḌā.eñ
hamārī itnī ḳharāb 'ādat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
tumheñ pashemān dekhne kā ḳhayāl dil meñ bahut thā par ab
hamārī āñkhoñ ko aisī hasrat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
tumhārī jānib uTheñ jo āñkheñ ham aisī āñkhoñ ko noch Dāleñ
hameñ raqīboñ se yuuñ adāvat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
in āñdhiyoñ se bachā ke rakhnā charāġh apne tamām 'sāhil'
havā se laḌne kī ham meñ himmat kabhī thī jānāñ par ab nahīñ hai
hamare dil mein tumhaari chahat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
hamein bhi tum se bahut mohabbat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
hum apne ashkon ko rok lenge magar na shikwa koi karenge
tumhaare shane ki wo zarurat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
wo ru-e-raushan wo mast aankhen thi jin pe qurban sabhi bahaaren
tumhaare chehre ki aisi rangat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
hum itne nadan bhi nahin hain ke barishon mein patang uDaen
hamari itni KHarab 'adat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
tumhein pasheman dekhne ka KHayal dil mein bahut tha par ab
hamari aankhon ko aisi hasrat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
tumhaari jaanib uThen jo aankhen hum aisi aankhon ko noch Dalen
hamein raqibon se yun adawat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
in aandhiyon se bacha ke rakhna charagh apne tamam 'sahil'
hawa se laDne ki hum mein himmat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.