hamare dil mein wo rahta hai jo makin ki tarah
hamāre dil meñ vo rahtā hai jo makīñ kī tarah
gumān hotā hai bilkul kisī yaqīñ kī tarah
khaḌe hue the yahīñ raat jab yahāñ utrī
hazār chāñd sitāre tamāsh-bīñ kī tarah
agar qubūl nahīñ hai to chiir do mirā ḳhat
na rakkho dil meñ koī ḳhat ḳhat-e-jabīñ kī tarah
tumhāre vā'da-o-paimāñ pe kaan kyā dharte
na'am na'am kī sadā thī nahīñ nahīñ kī tarah
hamārā ghar bhī filistīn meñ agar hotā
to ham zamīn pe hote falak-nashīñ kī tarah
vo pūchhte haiñ batāo ki is meñ hai ki nahīñ
balā kā jāh-o-hasham chashm-e-surmagīñ kī tarah
kināre aur na jaao ki sātveñ din hī
uThī hai lahr samundar meñ chaudhvīñ kī tarah
yahī tarīq rahā to hamāre baa'd ke log
paḌheñge ham ko asātīr-ul-avvalīñ kī tarah
lage hue haiñ surangoñ ko toḌne meñ vahī
pale haiñ jo yahāñ af'ī-e-āstīñ kī tarah
hamare dil mein wo rahta hai jo makin ki tarah
guman hota hai bilkul kisi yaqin ki tarah
khaDe hue the yahin raat jab yahan utri
hazar chand sitare tamash-bin ki tarah
agar qubul nahin hai to chir do mera KHat
na rakkho dil mein koi KHat KHat-e-jabin ki tarah
tumhaare wa'da-o-paiman pe kan kya dharte
na'am na'am ki sada thi nahin nahin ki tarah
hamara ghar bhi filistin mein agar hota
to hum zamin pe hote falak-nashin ki tarah
wo puchhte hain batao ki is mein hai ki nahin
bala ka jah-o-hasham chashm-e-surmagin ki tarah
kinare aur na jao ki satwen din hi
uThi hai lahr samundar mein chaudhwin ki tarah
yahi tariq raha to hamare ba'd ke log
paDhenge hum ko asatir-ul-awwalin ki tarah
lage hue hain surangon ko toDne mein wahi
pale hain jo yahan af'i-e-astin ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.