hamare dil se rang-e-gham na utra
hamāre dil se rañg-e-ġham na utrā
bharā bhī zaḳhm to marham na utrā
bahut talḳhī thī nākāmī kī lekin
ḳhumār-e-koshish-e-paiham na utrā
tahammul ne bahut tūfāñ kiye jazb
magar dariyā-e-shām-e-ġham na utrā
baḌhī kuchh aur gul kī tishna-kāmī
jigar meñ qatra-e-shabnam na utrā
na pahuñchā tāq-e-nisyāñ tak kabhī haath
dobāra ham se jām-e-jam na utrā
huī zāhir na insāñ kī haqīqat
libās-e-shādī-o-mātam na utrā
tasavvur ab haqīqat ban gayā hai
tumhārā aks tum se kam na utrā
sarāyat kar ga.ī jab maut 'nāzish'
kisī tadbīr se ye sam na utrā
hamare dil se rang-e-gham na utra
bhara bhi zaKHm to marham na utra
bahut talKHi thi nakaami ki lekin
KHumar-e-koshish-e-paiham na utra
tahammul ne bahut tufan kiye jazb
magar dariya-e-sham-e-gham na utra
baDhi kuchh aur gul ki tishna-kaami
jigar mein qatra-e-shabnam na utra
na pahuncha taq-e-nisyan tak kabhi hath
dobara hum se jam-e-jam na utra
hui zahir na insan ki haqiqat
libas-e-shadi-o-matam na utra
tasawwur ab haqiqat ban gaya hai
tumhaara aks tum se kam na utra
sarayat kar gai jab maut 'nazish'
kisi tadbir se ye sam na utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.