hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai
hamāre dostoñ meñ koī dushman ho bhī saktā hai
ye añgrezī davā.eñ haiñ reaction ho bhī saktā hai
kisī māthe pe har dam ek hī label nahīñ rahtā
bhikārī chand haftoñ meñ mahājan ho bhī saktā hai
siyāsat naqlī noToñ kī tarah dhoke se chaltī hai
jise rahbar samajhte ho vo rahzan ho bhī saktā hai
mire bachchoñ kahāñ tak baap ke kāñdhoñ pe baiThoge
kisī din fail us gaaḌī kā engine ho bhī saktā hai
kabhī chashma haTā kar dekh āñkhoñ se ta.assub kā
tire dāman se ujlā merā dāman ho bhī saktā hai
hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai
ye angrezi dawaen hain reaction ho bhi sakta hai
kisi mathe pe har dam ek hi label nahin rahta
bhikari chand hafton mein mahajan ho bhi sakta hai
siyasat naqli noTon ki tarah dhoke se chalti hai
jise rahbar samajhte ho wo rahzan ho bhi sakta hai
mere bachchon kahan tak bap ke kandhon pe baiThoge
kisi din fail us gaDi ka engine ho bhi sakta hai
kabhi chashma haTa kar dekh aankhon se tassub ka
tere daman se ujla mera daman ho bhi sakta hai
- Book : Barso.n Baad (Pg. 20)
- Author : Haseeb soz
- Publication : Lamhe lamhe Publications, Imam bara Alapur,Badaun (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.