hamare gham mein hue hain wo sogwar to kya
hamāre ġham meñ hue haiñ vo sogvār to kyā
bahā.e ashk ab aa kar sar-e-mazār to kyā
adū ke dosh pe bikhrī hai zulf-e-yār to kyā
ḳhizāñ kī god meñ hai mausam-e-bahār to kyā
hazār baar zamāne pe fat.h paa.ī hai
agar huī hai mohabbat meñ ek haar to kyā
tulūa-e-mahr-e-munavvar to ruk nahīñ saktā
ruḳh-e-sahar pe hai chhāyā huā ġhubār to kyā
chalā hai le ke hameñ shauq-e-ābla-pā.ī
hamārī rāhguzar meñ bichhe haiñ ḳhaar to kyā
yahāñ to tishna-lab-o-tishna-kām haiñ 'rif.at'
uruuj par hai jo saaqī kā kārobār to kyā
hamare gham mein hue hain wo sogwar to kya
bahae ashk ab aa kar sar-e-mazar to kya
adu ke dosh pe bikhri hai zulf-e-yar to kya
KHizan ki god mein hai mausam-e-bahaar to kya
hazar bar zamane pe fath pai hai
agar hui hai mohabbat mein ek haar to kya
tulua-e-mahr-e-munawwar to ruk nahin sakta
ruKH-e-sahar pe hai chhaya hua ghubar to kya
chala hai le ke hamein shauq-e-abla-pai
hamari rahguzar mein bichhe hain KHar to kya
yahan to tishna-lab-o-tishna-kaam hain 'rifat'
uruj par hai jo saqi ka karobar to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.