hamare hafize be-kar ho gae sahib
hamāre hāfize be-kār ho ga.e sāhib
javāb aur bhī dushvār ho ga.e sāhib
use bhī shauq thā tasvīr meñ utarne kā
to ham bhī shauq se dīvār ho ga.e sāhib
tire libās ke rangoñ meñ kho ga.ī fitrat
ye phūl-shūl to be-kār ho ga.e sāhib
gale lagā ke use ḳhvāb meñ bahut ro.e
aur itnā ro.e ki bedār ho ga.e sāhib
hamārī ruuh parindoñ ko sauñp dī jaa.e
ki ye badan to gunahgār ho ga.e sāhib
nazar milā.ī to ik aag ne lapeT liyā
badan jalā.e to gulzār ho ga.e sāhib
charāġh dafn kiye the 'nadīm' qabroñ meñ
zamīñ se chāñd numūdār ho ga.e sāhib
hamare hafize be-kar ho gae sahib
jawab aur bhi dushwar ho gae sahib
use bhi shauq tha taswir mein utarne ka
to hum bhi shauq se diwar ho gae sahib
tere libas ke rangon mein kho gai fitrat
ye phul-shul to be-kar ho gae sahib
gale laga ke use KHwab mein bahut roe
aur itna roe ki bedar ho gae sahib
hamari ruh parindon ko saunp di jae
ki ye badan to gunahgar ho gae sahib
nazar milai to ek aag ne lapeT liya
badan jalae to gulzar ho gae sahib
charagh dafn kiye the 'nadim' qabron mein
zamin se chand numudar ho gae sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.