hamare haal-e-dil ki tumko kuchh aise KHabar hogi
hamare haal-e-dil ki tumko kuchh aise KHabar hogi
Bilal Saharanpuri
MORE BYBilal Saharanpuri
hamāre hāl-e-dil kī tum ko kuchh aise ḳhabar hogī
tumhārī āstīñ hogī hamārī chashm-e-tar hogī
hasīñ to aur bhī aa jā.eñge āġhosh meñ lekin
kahāñ ye marmarīñ bāheñ kahāñ aisī kamar hogī
mohabbat hai kahāñ jab un se pūchhā hans ke yuuñ bole
yahāñ hogī vahāñ hogī idhar hogī udhar hogī
kabhī to daad aa.egī mirī ḳhātir bhī hoñThoñ par
kabhī to shā.irī meñ izzat-e-ahl-e-hunar hogī
tumhāre naam kī tāsīr aisī hai 'bilāl-ahmad'
yaqīnan zindagī ishq-e-mohammad meñ basar hogī
hamare haal-e-dil ki tum ko kuchh aise KHabar hogi
tumhaari aastin hogi hamari chashm-e-tar hogi
hasin to aur bhi aa jaenge aaghosh mein lekin
kahan ye marmarin bahen kahan aisi kamar hogi
mohabbat hai kahan jab un se puchha hans ke yun bole
yahan hogi wahan hogi idhar hogi udhar hogi
kabhi to dad aaegi meri KHatir bhi honThon par
kabhi to shairi mein izzat-e-ahl-e-hunar hogi
tumhaare nam ki tasir aisi hai 'bilal-ahmad'
yaqinan zindagi ishq-e-mohammad mein basar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.