hamare haal-e-zabun par malal hai kitna
hamāre hāl-e-zabūñ par malāl hai kitnā
use bhī yaaro hamārā ḳhayāl hai kitnā
bachā.iye dil-e-zinda ko ḳhuun hone se
na dekhiye ki ġham-e-māh-o-sāl hai kitnā
huī ḳhushī jo mayassar to ye huā mālūm
ḳhushī kā bojh uThānā muhāl hai kitnā
nibāh ziist se kartā huuñ āshiqāna maiñ
ye jāntā huuñ ki jiinā muhāl hai kitnā
hamare haal-e-zabun par malal hai kitna
use bhi yaro hamara KHayal hai kitna
bachaiye dil-e-zinda ko KHun hone se
na dekhiye ki gham-e-mah-o-sal hai kitna
hui KHushi jo mayassar to ye hua malum
KHushi ka bojh uThana muhaal hai kitna
nibah zist se karta hun aashiqana main
ye jaanta hun ki jina muhaal hai kitna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.