hamare haal pe kis din jafa nahin karte
hamāre haal pe kis din jafā nahīñ karte
ye aur baat ki vo barmalā nahīñ karte
ye rañg-o-nūr kī duniyā nazar-navāz sahī
tire faqīr magar e'tinā nahīñ karte
zarūr koī ḳhatā ham se ho ga.ī hogī
vo be-sabab to kisī par jafā nahīñ karte
kabhī to un ko hamārā ḳhayāl aa.egā
ham is ummīd pe tark-e-vafā nahīñ karte
unhīñ se ham ko mohabbat kī daad hai matlūb
vahī jo pās-e-mohabbat zarā nahīñ karte
dar-e-habīb pe jaate haiñ bārhā 'shafqat'
dar-e-habīb pe lekin sadā nahīñ karte
hamare haal pe kis din jafa nahin karte
ye aur baat ki wo barmala nahin karte
ye rang-o-nur ki duniya nazar-nawaz sahi
tere faqir magar e'tina nahin karte
zarur koi KHata hum se ho gai hogi
wo be-sabab to kisi par jafa nahin karte
kabhi to un ko hamara KHayal aaega
hum is ummid pe tark-e-wafa nahin karte
unhin se hum ko mohabbat ki dad hai matlub
wahi jo pas-e-mohabbat zara nahin karte
dar-e-habib pe jate hain barha 'shafqat'
dar-e-habib pe lekin sada nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.