hamare hath mein bachchon ne titliyan rakh din
hamare hath mein bachchon ne titliyan rakh din
Ansh Pratap Singh Ghafil
MORE BYAnsh Pratap Singh Ghafil
hamāre haath meñ bachchoñ ne titliyāñ rakh diiñ
to apne haath kī ham ne bhī barchhiyāñ rakh diiñ
huā thā zikr achānak hī maut kā mujh se
taḌap ke us ne mere lab pe ungliyāñ rakh diiñ
rihā kiyā hai parinde ko is tarīqe se
paroñ ko khol ke pairoñ meñ beḌiyāñ rakh diiñ
tum us ġharīb kī jholī meñ rizq bhī rakhnā
ki jis ġharīb kī godī meñ beTiyāñ rakh diiñ
hadoñ ko toḌ gayā yuuñ ġharīb banjāra
ki shāhzādī ke hāthoñ meñ chūḌiyāñ rakh diiñ
jab un ke raah ke kāñTe haTā nahīñ paa.e
to un ke paañv ke nīche hatheliyāñ rakh diiñ
merī du'ā hai salāmat rahe qayāmat tak
vo 'ishq jis ne laboñ par ye siskiyāñ rakh diiñ
hamare hath mein bachchon ne titliyan rakh din
to apne hath ki hum ne bhi barchhiyan rakh din
hua tha zikr achanak hi maut ka mujh se
taDap ke us ne mere lab pe ungliyan rakh din
riha kiya hai parinde ko is tariqe se
paron ko khol ke pairon mein beDiyan rakh din
tum us gharib ki jholi mein rizq bhi rakhna
ki jis gharib ki godi mein beTiyan rakh din
hadon ko toD gaya yun gharib banjara
ki shahzadi ke hathon mein chuDiyan rakh din
jab un ke rah ke kanTe haTa nahin pae
to un ke panw ke niche hatheliyan rakh din
meri du'a hai salamat rahe qayamat tak
wo 'ishq jis ne labon par ye siskiyan rakh din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.