hamare hath mein KHanjar nahin the
hamāre haath meñ ḳhanjar nahīñ the
kisī bhī vaqt ham kāyer nahīñ the
har ik ġham se shanāsā ho ga.e haiñ
kabhī ham ranj ke ḳhūgar nahīñ the
vo kitne ḳhush the be-chhat kī zamīñ par
sabab ye hai ki un ke ghar nahīñ the
vo bāteñ kar rahe the āsmāñ kī
vo jin ke bāzuoñ meñ par nahīñ the
unheñ thī fikr nāhaq apne sar kī
mire to haath meñ patthar nahīñ the
huī thī sher se tamhīd pahle
vo sab naqqāl the shā.ir nahīñ the
use dekheñ palaT kar phir dobāra
tirī galiyoñ meñ vo manzar nahīñ the
jo chalte the hamāre saath 'asġhar'
zarā aage the vo rahbar nahīñ the
hamare hath mein KHanjar nahin the
kisi bhi waqt hum kayer nahin the
har ek gham se shanasa ho gae hain
kabhi hum ranj ke KHugar nahin the
wo kitne KHush the be-chhat ki zamin par
sabab ye hai ki un ke ghar nahin the
wo baaten kar rahe the aasman ki
wo jin ke bazuon mein par nahin the
unhen thi fikr nahaq apne sar ki
mere to hath mein patthar nahin the
hui thi sher se tamhid pahle
wo sab naqqal the shair nahin the
use dekhen palaT kar phir dobara
teri galiyon mein wo manzar nahin the
jo chalte the hamare sath 'asghar'
zara aage the wo rahbar nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.