hamare hath se bas ek nazara banta hai
hamāre haath se bas ik nazāra bantā hai
banāte kuchh bhī haiñ chehra tumhārā bantā hai
use pukārte rahne se kuchh nahīñ hotā
ḳharāb hotā huā din hamārā bantā hai
ye dekhne ke liye us ne phir se toḌ diyā
ki kaise TuuTā huā dil dobāra bantā hai
ḳhushī se gar tirī āñkheñ kabhī chamak uTThīñ
falak pe duur kahīñ ik sitāra bantā hai
mudāvā ġham kā to hotā nahīñ kisī bhī tarah
magar nadī kā kahīñ to kināra bantā hai
jahāñ se 'saif' hameñ kuchh nazar nahīñ aatā
vahīñ se rāsta aksar hamārā bantā hai
hamare hath se bas ek nazara banta hai
banate kuchh bhi hain chehra tumhaara banta hai
use pukarte rahne se kuchh nahin hota
KHarab hota hua din hamara banta hai
ye dekhne ke liye us ne phir se toD diya
ki kaise TuTa hua dil dobara banta hai
KHushi se gar teri aankhen kabhi chamak uTThin
falak pe dur kahin ek sitara banta hai
mudawa gham ka to hota nahin kisi bhi tarah
magar nadi ka kahin to kinara banta hai
jahan se 'saif' hamein kuchh nazar nahin aata
wahin se rasta aksar hamara banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.