hamare hissa mein kuchh aise ham-safar aae
hamāre hissa meñ kuchh aise ham-safar aa.e
hameñ pata hai ki ham kaise apne ghar aa.e
ab aur kaise mohabbat kā haq adā karte
tumhārī qabr meñ ham ḳhud ko dafn kar aa.e
ġhazal kī aañkh se dekhā thā ham ne duniyā ko
har ek samt hameñ phuul hī nazar aa.e
hamāre paas jo gul-dān thā mohabbat kā
ham us meñ apne hī ḳhvāboñ kī raakh bhar aa.e
hamāre sāthī to sab kho ga.e uḌānoñ meñ
hamīñ akele palaT kar zamīn par aa.e
ye vaqt kaun se qisse sunāne baiTh gayā
nishān jitne the dil par sabhī ubhar aa.e
hamare hissa mein kuchh aise ham-safar aae
hamein pata hai ki hum kaise apne ghar aae
ab aur kaise mohabbat ka haq ada karte
tumhaari qabr mein hum KHud ko dafn kar aae
ghazal ki aankh se dekha tha hum ne duniya ko
har ek samt hamein phul hi nazar aae
hamare pas jo gul-dan tha mohabbat ka
hum us mein apne hi KHwabon ki rakh bhar aae
hamare sathi to sab kho gae uDanon mein
hamin akele palaT kar zamin par aae
ye waqt kaun se qisse sunane baiTh gaya
nishan jitne the dil par sabhi ubhar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.