hamare jismon mein din hi ka zahr kya kam tha
Interesting Fact
based on Bhopal gas tragedy (1984)
hamāre jismoñ meñ din hī kā zahr kyā kam thā
barahna raat bhī aa.ī to sabz mausam thā
halākatoñ kā sila qātiloñ se kyā miltā
ki qatra qatra lahū kā nazar meñ shabnam thā
bikharne TūTne kā silsila thā rāhoñ meñ
tamām ḳhvāboñ kā ta.abīr-nāma mātam thā
garāñ hai miTTī kā TuuTā huā piyāla ab
yahī vo haath haiñ kal jin meñ sāġhar-e-jam thā
ghisaT rahe the zamīñ par hazār-hā insāñ
umīd-o-bīm kā har ik charāġh maddham thā
maiñ zindagī se shanāsā huuñ is qadar 'ishrat'
nigāh uThtī thī jis samt hū kā aalam thā
hamare jismon mein din hi ka zahr kya kam tha
barahna raat bhi aai to sabz mausam tha
halakaton ka sila qatilon se kya milta
ki qatra qatra lahu ka nazar mein shabnam tha
bikharne TuTne ka silsila tha rahon mein
tamam KHwabon ka tabir-nama matam tha
garan hai miTTi ka TuTa hua piyala ab
yahi wo hath hain kal jin mein saghar-e-jam tha
ghisaT rahe the zamin par hazar-ha insan
umid-o-bim ka har ek charagh maddham tha
main zindagi se shanasa hun is qadar 'ishrat'
nigah uThti thi jis samt hu ka aalam tha
- Book : Aasman Saiyban (Poetry) (Pg. 115)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.