hamare kaam ulTe paD gae hain
hamāre kaam ulTe paḌ ga.e haiñ
sabhī ke sard lahje paḌ ga.e haiñ
tumhārī baat sunte hī achānak
mire sab rañg phīke paḌ ga.e haiñ
kisī tasvīr par hai kaam jaarī
ka.ī āñkhoñ pe halqe paḌ ga.e haiñ
tirī āñkhoñ kā pīchhā karte karte
mire a.asāb Dhīle paḌ ga.e haiñ
tumhārī kar raheñ haiñ jab se ġhībat
dar-o-dīvār niile paḌ ga.e haiñ
faqat vo muskurā.e jā rahā hai
tabhī to phuul saste paḌ ga.e haiñ
libāsoñ kī dalīleñ dene vaalo
yahāñ kirdār maile paḌ ga.e haiñ
hamare kaam ulTe paD gae hain
sabhi ke sard lahje paD gae hain
tumhaari baat sunte hi achanak
mere sab rang phike paD gae hain
kisi taswir par hai kaam jari
kai aankhon pe halqe paD gae hain
teri aankhon ka pichha karte karte
mere aasab Dhile paD gae hain
tumhaari kar rahen hain jab se ghibat
dar-o-diwar nile paD gae hain
faqat wo muskurae ja raha hai
tabhi to phul saste paD gae hain
libason ki dalilen dene walo
yahan kirdar maile paD gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.