hamare KHwab tanha hain hamare gham akele hain
hamāre ḳhvāb tanhā haiñ hamāre ġham akele haiñ
ghire haiñ kitne hañgāmoñ meñ phir bhī ham akele haiñ
tumhāre paas bhī sūkhe hue kuchh phuul haiñ tanhā
hamāre saath bhī kho.e hue mausam akele haiñ
chale aao ki dil kī dhaḌkanoñ meñ naġhmagī bhar deñ
tumhārā saaz tanhā hai mire sargam akele haiñ
bharī mahfil meñ ye ehsās-e-tanhā.ī hameñ kyoñ hai
na jaane kyoñ tirī duniyā meñ yā-rab ham akele haiñ
ḳhushī ne jin ko Thukrāyā vo manzil tak nahīñ pahuñche
sunā hai aaj tak āvārgān-e-ġham akele haiñ
na jaane log pīchhe rah ga.e yā duur jā pahuñche
jahāñ tak dekhte haiñ rāste meñ ham akele haiñ
hamare KHwab tanha hain hamare gham akele hain
ghire hain kitne hangamon mein phir bhi hum akele hain
tumhaare pas bhi sukhe hue kuchh phul hain tanha
hamare sath bhi khoe hue mausam akele hain
chale aao ki dil ki dhaDkanon mein naghmagi bhar den
tumhaara saz tanha hai mere sargam akele hain
bhari mahfil mein ye ehsas-e-tanhai hamein kyon hai
na jaane kyon teri duniya mein ya-rab hum akele hain
KHushi ne jin ko Thukraya wo manzil tak nahin pahunche
suna hai aaj tak aawargan-e-gham akele hain
na jaane log pichhe rah gae ya dur ja pahunche
jahan tak dekhte hain raste mein hum akele hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.