hamare lahje mein behtar hai inkisari ho
hamāre lahje meñ behtar hai inkisārī ho
magar zabāñ pe jo baat aa.e sab pe bhārī ho
kisī ko Thes na pahuñche ye apnī koshish hai
magar lage jo kisī dil pe zarb kaarī ho
rah-e-hayāt meñ shāyad hī vo maqām aa.e
ki naġhma-hā-e-junūñ par sukūt taarī ho
vafā kā zikr agar aa.e us kī mahfil meñ
to baat jo bhī ho jaisī ho bas hamārī hai
tamām-umr guzārī hai us kī ḳhidmat meñ
hamāre naam kā sikka adab meñ jaarī ho
tire karam se hamesha hī ḳhush rahā 'anvar'
mire ḳhudā na kabhī lab pe āh-o-zārī ho
hamare lahje mein behtar hai inkisari ho
magar zaban pe jo baat aae sab pe bhaari ho
kisi ko Thes na pahunche ye apni koshish hai
magar lage jo kisi dil pe zarb kari ho
rah-e-hayat mein shayad hi wo maqam aae
ki naghma-ha-e-junun par sukut tari ho
wafa ka zikr agar aae us ki mahfil mein
to baat jo bhi ho jaisi ho bas hamari hai
tamam-umr guzari hai us ki KHidmat mein
hamare nam ka sikka adab mein jari ho
tere karam se hamesha hi KHush raha 'anwar'
mere KHuda na kabhi lab pe aah-o-zari ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.