hamare panw Darte hain tumhaare sath chalne mein
hamare panw Darte hain tumhaare sath chalne mein
ShivKumar Bilgrami
MORE BYShivKumar Bilgrami
hamāre paañv Darte haiñ tumhāre saath chalne meñ
zarā sā vaqt lagtā hai kabhī niyyat badalne meñ
tumheñ shāyad patā ho yā na ho shāyad patā tum ko
ki sāloñ-sāl lagte haiñ chubhā kāñTā nikalne meñ
kisī patthar kī mūrat se na karnā pyaar tum hargiz
hazāroñ saal lagte haiñ butoñ kā dil pighalne meñ
zarā sā vaqt to de zindagī mujh ko sambhalne kā
burā ho vaqt to kuchh vaqt lagtā hai sambhalne meñ
na jaane kyuuñ bujhī āñkhoñ meñ jugnūñ se chamakte haiñ
abhī to vaqt baaqī hai añdherī raat Dhalne meñ
hamare panw Darte hain tumhaare sath chalne mein
zara sa waqt lagta hai kabhi niyyat badalne mein
tumhein shayad pata ho ya na ho shayad pata tum ko
ki salon-sal lagte hain chubha kanTa nikalne mein
kisi patthar ki murat se na karna pyar tum hargiz
hazaron sal lagte hain buton ka dil pighalne mein
zara sa waqt to de zindagi mujh ko sambhalne ka
bura ho waqt to kuchh waqt lagta hai sambhalne mein
na jaane kyun bujhi aankhon mein jugnun se chamakte hain
abhi to waqt baqi hai andheri raat Dhalne mein
- Book : Nai Kahkashan (Pg. 94)
- Author : Shivkumar Bilagrami
- Publication : Amrit Prakashan (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.