hamare pas hai hikmat na raaz kya kije
hamāre paas hai hikmat na raaz kyā kiije
sivā.e dard-e-dil-e-jāñ-gudāz kyā kiije
ināyateñ haiñ agarche hazār-hā lekin
bane na baat to banda-navāz kyā kiije
na zarb-o-tār se rishta na dil-fareb-e-dam
mire ḳhayāl ko aalam hai saaz kyā kiije
ze-rū-e-fiqh jo sab se ziyāda hai ma.atūb
hamārī us se bhī hai sāz-bāz kyā kiije
jo jānte haiñ nahīñ jānte na jaane haiñ
jo hai ayaañ yahāñ vo bhī hai raaz kyā kiije
jahāñ guzārish-e-ahvāl par hoñ ta.azīreñ
sivā.e jur.at-e-arz-e-niyāz kyā kiije
khulā ik umr kī koshish se ye ki likkhā hai
hamāre naam nasheb-o-farāz kyā kiije
burā ho lazzat-e-taḳh.īl kā ki rahtī hai
haqīqatoñ meñ talāsh-e-majāz kyā kiije
hazār dard hai aur jān-e-nā-tavāñ merī
ilaaj hai na gale kā javāz kyā kiije
hamare pas hai hikmat na raaz kya kije
siwae dard-e-dil-e-jaan-gudaz kya kije
inayaten hain agarche hazar-ha lekin
bane na baat to banda-nawaz kya kije
na zarb-o-tar se rishta na dil-fareb-e-dam
mere KHayal ko aalam hai saz kya kije
ze-ru-e-fiqh jo sab se ziyaada hai matub
hamari us se bhi hai saz-baz kya kije
jo jaante hain nahin jaante na jaane hain
jo hai ayan yahan wo bhi hai raaz kya kije
jahan guzarish-e-ahwal par hon taziren
siwae jurat-e-arz-e-niyaz kya kije
khula ek umr ki koshish se ye ki likkha hai
hamare nam nasheb-o-faraaz kya kije
bura ho lazzat-e-taKHil ka ki rahti hai
haqiqaton mein talash-e-majaz kya kije
hazar dard hai aur jaan-e-na-tawan meri
ilaj hai na gale ka jawaz kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.