hamare pas to aao baDa andhera hai
hamāre paas to aao baḌā añdherā hai
kahīñ na chhoḌ ke jaao baḌā añdherā hai
udaas kar ga.e be-sāḳhta latīfe bhī
ab āñsuoñ se rulāo baḌā añdherā hai
koī sitāra nahīñ pattharoñ kī palkoñ par
koī charāġh jalāo baḌā añdherā hai
haqīqatoñ meñ zamāna bahut guzār chuke
koī kahānī sunāo baḌā añdherā hai
kitābeñ kaisī uThā laa.e mai-kade vaale
ġhazal ke jaam uThāo baḌā añdherā hai
ġhazal meñ jis kī hamesha charāġh jalte haiñ
use kahīñ se bulāo baḌā añdherā hai
vo chāñdnī kī bashārat hai harf-e-āḳhir tak
'bashīr-badr' ko laao baḌā añdherā hai
hamare pas to aao baDa andhera hai
kahin na chhoD ke jao baDa andhera hai
udas kar gae be-saKHta latife bhi
ab aansuon se rulao baDa andhera hai
koi sitara nahin pattharon ki palkon par
koi charagh jalao baDa andhera hai
haqiqaton mein zamana bahut guzar chuke
koi kahani sunao baDa andhera hai
kitaben kaisi uTha lae mai-kade wale
ghazal ke jam uThao baDa andhera hai
ghazal mein jis ki hamesha charagh jalte hain
use kahin se bulao baDa andhera hai
wo chandni ki bashaarat hai harf-e-aKHir tak
'bashir-badr' ko lao baDa andhera hai
- Book : Aahat (Pg. 40)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.